शनिवार, 12 फ़रवरी 2011

Mere khawabon ka ek khubsurat chand ho tum... ,
Mere dil ki dhadkan or ek aarman ho tum... ,
Meri jindgi me ek bahar ho tum... ,
Yunhi khush rakhe khuda apko ki mere liye to rab se mila ek uphar ho tum...
Har khushi tere aangan ho... ,
Har lamha tere hothon pe muskan ho... ,
Khubsurat khawabon se sazi apki har ratein ho... ,
Yunhi baharein aapki jindgi me aati rahein...
Tanhai dur huyi phir aaya pyar ka mausam... ,
Rango me ghula hai tere pyar ka rang... ,
Muskan hai hothon par aab na hai koi gam... ,
Tum aaye to aaya phir baharon ka mausam...

शुक्रवार, 11 फ़रवरी 2011

Raat yunhi khamosh dhal jati hai...
Aankhe teri yaad me yunhi baras jati hai...
Dil bhi tere didar ko yunhi tadpa krta hai...
Or kya kahun main ki har lamha aapka ehsas dila jata hai...
Jindgi ki tasvir dhundhali pad jati hain... ,
Jab bhi yadein aapki rula jati hain... ,
Kuch khas hai aap jo dil me bas jatein hain... ,
Kuch bhi kah lo aap ham to apke naam se hi jiya krte hain...
Baar baar kyun pyar hota hai tujhse...,
Pal pal kyu yaad aate ho mujhe...,
Waqt bewaqt kyu satate ho mujhe...,
Lamha lamha kyu apni mohabbat me tadpate ho mujhe...,

रविवार, 6 फ़रवरी 2011

Dhalta suraj tumhe khone ka dard ehsas dila jata hai,
Chand ko aasma pe dekh teri duriyon ka ehsas hota hai,
Sitaron ko dekh teri chahat me tut kar bikhr jane ka ehsas hota hai...
Phir bhi dil teri mohabbat me hi pagal hua jata hai...
Sham tanhai lekar chali aati hai,
Na jane andhero ka sath kyu achha lagta hai,
Dil me kyu ab koi roshni nhi hoti hai,
Kyu aajkal ashquon ke barsaton ka mausam sath rahta hai...
Mujhse pucho jindgi kya hoti hai,
Har lamhe me aansuon ki barsat hoti hai,
Jinse dur nahi ja sakte na jane unse hi judai kyu nasib hoti hai,
Har khawaish har aarzu yunhi adhuri rah jati hai..

शनिवार, 5 फ़रवरी 2011

Naino ke khawab kahin khawab na rah jayein,
Aap mujhse milkar yun door na chalein jayein,
Muskura ke hum kahin gam me na dub jayein,
Gujarish hai rab se inn naino me aap or bas aap hi rah jayein...
Sham dhal jati hai raat ki chahat mein,
Raat dhal jati hai apki hi yadon mein,
Kuch na kahe juban toh kya,
Hum khamosh yunhi gujar denge jindgi apki chahat mein.
....

शुक्रवार, 4 फ़रवरी 2011

Aankho me jo tasvir hai teri,
chand se bhi jayada lagti hai hasi,
muskil kyu didar hai teri,
dil me jab baste ho meri...
Chand to kah diya unhe maine par unki chandani na ban sake,
Khud ko jalaya maine raton me par rahon me unke roshni na ban sake,
Har lafz unke naam se like dale maine par ham unki hi saaz na ban sake....